Sunday 27 April 2014

Latest Sad Poetry Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

Latest Sad Poetry Biography

Source(google.com.pk)
Kuch to hawa bhi sard thi, kuch tha tera Kheyal bhi
Dil ko khushi k sath sath hota raha Malal bhi

Baat wo aadhi raat ki, raat wo poore Chaand ki
Chaand bhi ain cheet ka is per tera Jamal bhi

Sab se nazar bacha k wo mujh ko kuch aise dekhta
Aik dafya to ruk gaii Gardish Mah-o-Sal bhi

Dil to chamak sakey ga kia, phir bhi Tarash ke dekh lein
Shishah gerane shahar ke hath ka yeh Kamal bhi

Us ko na pa sakey the jab dil ka ajeeb hal tha
Ab jo palt ke dekhey, Baat thi kuch mhaal bhi

Meri talab tha aik shaks, wo jo nahin mila to phir
Hath doya se yun gira, bhul giya sawal bhi

Us ke hi bazuyoon mein aur us ko hi sochte rahe
Jism ke khahishoon pe the roh ke aur jal bhi.

*****************************

Pura dukh aur Aadha Chaand
Hijr ki shab aur Aisa Chaand

Itne ghane Badal k piche
Kitna tanha Hoga chaand

Meri karavat par Jag uthe
Neend ka kitna Kachcha chaand

Sehra sehra Bhatak raha hai
Apne ishq mein Sachcha chaand

Raat k shayad Aik baje hain
Sotaa hoga meraChaand

*****************************

Justju khoye huon ki Umar bhar karte rahe
Chaand ke hamrah hum har Shab safar karte rahe

Raaston ka ilam tha hum ko na Simton ki khabar
Shahar-e-namalum ki Chaahat magar karte rahe

Hum ne khud se bhi Chupaaya aur sare Shahar se
Tere jaane ki Khabar dar-o-divaar karte rahe

Vo na aayega Hamain maalum tha us Sham bhi
Intezaar us ka magar kuch Sonch kar karte rahe

Aaj aayaa hai hamain bhi un Udanon ka khayal
Jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karte rahe

*****************************

Kamal zabt ko khood bhI to aazmayon gi
Mein apnay hath say us ki dulhan sajaon gi

Supard kar kay usay chandni kay hathon mein
Mein apnay ghar kay andheron ko lot aaongi

Badan kay karb ko woh bhi samajh na paye ga
Mein dil mein royungi, aankhon mein muskuraon gi

Woh kia gia keh rafaqat kay saray lutf gaye
Mein kis say rooth sakon gi, kisay manayon gi

Ab us ka fun to kisi aur say hua mansoob
Mein kis ki nazam akelay mein gun'gunayon di

Woh aik rishtah be naam bhi nahi lekin
Mein ab bhi us kay isharon peh sar jhukayon gi

Bicha dia tha gulabon kay sath apna wajood
Woh so kay uthe to khawabon ki Raakh uthaon gi

Samayaton mein ghanay jangalon ki sansein hain
Mein ab kabhi teri aawaz sun na payon gi

Jawaz dhoond raha tha nayi muhabbat ka
Woh keh raha tha keh mein us ko bhool jayon gi.

Mohabbat goliyon se bou rahe ho
Watan ke chehra khoo'n se dho rahe ho
Gumaa'n tum ko ke rasta kat raha hai
Yaqee'n mujh ko manzil kho rahe ho... ”

Sharar ko saba saba bande ko khuda
Zulmat ko zia kiya likhna...”

Haq baat per korain aur zindan
Batil ke shikanje mein hai ye jaa'n
Insaa'n hai ke sehme bethe hain
Khoo'n khawar darinde hai raqsa'n
Har shaam yahan sham e veera'n
Aseb zada raste galiyan
Jis shehar ki dhun mein nikle the
Wo sheehr e dil barbaad kahan
Sehra ko chaman
Ban ko gulshan
Badal ko rida kiya likhna
Ae mere watan ke funkaron
Zullmat pe na apna fun waro
Ye mehal sara saraon ke basi
Qatil hai sab hi apne yaaron
Virsey main humain ye ghum hi mila
Is gham ko naya kya likhna
Zulmat ko zia, sar sar ko saba
Bande ko khuda kya likhna...”

kuch is tara wafa ki misaal daity hoon
sawaal karta hai koi to taal daity hoon
usi say khati hoon aksar faraib manzil ka
main jis kay pao say kanta nikaal daity hoon"

Dastaan-e-Zindagi tu bohot khamosh hai magar
Behtay ashkon ka shor sunana chahta hoon

Hai ujala bhi tu subh-e-kazib ki manind
Bas ek umeed zaroor dikhana chahta hoon

Mujh ko maloom hai manzil ki haqeeqat lekin
Parwana ban kr urh jana chahta hoon

Har chehra naqaab hai nafratoon kay ooper
Aur mein kiun kr un se mohabbatein le jana chahta hoon

Zindagi ka safar guzar janay per gumaan hua kay
Mein makhlooq-e-Qabar hoon magar dunya mein jeena chahta hoon

Har koi dil ki hatheli pe hai sehra rakhey,
Kisi ko sairaab kare woh kise pyasa rakhey

Umer bhar kaun nibata hai taluk itna
Ae meri jan ke dushman tujhe allah rakhe,

Humko acha nahin lagta koi humnam tera,
Koi tujhsa ho tu phir nam be tujhsa rakhey.

Dil b pagal hai us shaks se wabasta hai,
Jo kise aur ka na hone de na apna rakhey

Kam nahin tamam e ibadat bhi to hirs-e-zar se,
Fuqr to wo hai ke deen na duniya rakhey.

Hans na itna bhi faqeeron ke akelepan par,
Khuda meri tara tujh ko b tanha rakhe

Yeh qana at hai, ita-att hai ke chaht hai Faraz
Hum to razi hai wo jis haal mein jesaa rakhe

beqarai si beqarari hai
wasl hai aur firaaq taari hai

jo guzaari na ja saki hum se
hum ne woh zindagi guzari hai

us se kahiyo kay dil ki galioN meiN
raat din teri intezari hai

ik mehak samt-e-jaaN se aai thi
maiN yeh samjha teri sawari hai

haadisoN ka hisab hai apna
warna har aan sab ki baari hai

bin tumhare kabhi nahiN aai
kya meri neend bhi tumhari hai

nigharay kya hue keh logoN par
apna saaya bhi ab to bhari hai

khush rahe tu ke zindagi apni
umr bhar ki ummeed wari hai

aap meiN kaisay aauN mein tujh bin
saaNs jo chal rahi hai aari hai

hijr ho ya wisal ho kuchh ho
hum haiN aur us ki yaadgari hai

Kis Qadar Zulm Dhaya Kertey Ho
Yeh Jo Tum Bhool Jaya Kerte Ho

Kis Ka Ab Haath Rakh Ke Seene Per
Dil Ki Dhadhkan Sunaya Kerte Ho

Hum Jahan Chaye Peene Jate Thay
Kia Wahan Ab Bhi Aaya Kerte Ho

Kon Hai Ab Ke Jis Ke Chehre Per
Apni Palkon Ka Saaya Kerte Ho

Kiun Mere Dil Mai Rakh Nahee Dete
Kis Liye Gham Uthaya Kerte Ho

Phone Per Geet Jo Sunate Thay
Ab Wo Kis Ko Sunaya Kerte Ho

Akhiri Khat Mai Usney Likha Tha
Tum Mujhe Yaad Aaya Kerte Ho

Suna hai jangalon ka bhi koi dastoor hota hai!

Suna hai

shair ka jub pait bhar jaey. . .

To vo hamlaa nahee kertaa,

Sunaa hai!

Havaa ke taiz jhonkey jubb darakhton ko hilaatay hain. . . .

To menaa apne gharr ko bhool kar,

kavvay ke andon ko paron main thaam lete hai. . . .

Sunaa hai. . . .

Ghaonslay se jubb koi bachha giray,

To saara jungle jaag jaag jaata hai. . . .

Suna hai. . .

Koi pull toot jaey

aor

sailaab aajaey

To kisi lakri ke takhtay per,

Gulehri saanp aor bakri saath hotay hain. . . .

Sunaa hai jangalon kaa bhi koi dastoor hotaa hai. . . .

KHUDAAE - MUNNSIFFO - AKBARR

Hamaaray mulkk main bhi ubb junngalon ka hi koi dastoor naafizz kar. . . .

Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

No comments:

Post a Comment