Sad Picture Poetry Biography
Source(google.com.pk)
Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dety
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dety
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dety
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dety
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dety
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dety
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dety
Yuqeen
:apni omur ghuwaa de phir be
busti kay sub logo ny
muj ko
yaa tu puthur sumjhaa
yaa
mom ki goriyaa
{noshi galani}
-----------------
Hum jo tareek raho meh mary gye
Tery honton kay pholoon ki chahut meah hum
dar ki khoshk tehni pay waary gy
tery hathoon ki shumhoohn ki husrut meah hum
neem tareek raho meah mary gye
ub kholi teri rahoo meah sham-a-sittum
hum chuly ay laay jahaa tuk qudum
lub py hurf-a-ghuzul dil meah qundeed a ghum
apna ghum tah guwahi tery hosun ki
dayk qayem rahy es guwahi py hum
hum jo tareek raho meh mary gye
faiz ahmad faiz
-------------
Puthur
Rayt say bot na banaa aay mery achy fankaar
ek lamhy ko Thahar, main tujhy patthar laa doun
main tere saamane ambaar lagaa dounlekin
kon say rang kaa patthar tere kaam aayega
sorkh patthar jissy dil kahati hay bay-dil duniyaa
yaa wo pathur jessy aaNkh kaa niilaa patthar
jis mean sadiiyon ky takhueyur ke parry hon Dorry
kyaa tujhe ruuh ke patthar kii zaruurat hogii
jis pe haq baat bhii patthar kii tarah girtii hay
ek wo patthar hai jise kahte hain tahziib-e-safed
us ke mar-mar meN siyah Khuun jhalak jaataa hai
ik insaaf kaa patthar bhii to hotaa hai magar
haath meN teshaa-e-zar ho to vo haath aataa hai
jitne mayyaar haiN is daur ke sab patthar haiN
sher bhii raqs bhii tasviir-o-Ghinaa bhii patthar
mere ilhaam teraa zahn-e-rasaa bhii patthar
is zamaane meN har fan kaa nishaaN patthar hai
haath patthar haiN tere merii zubaaN patthar hai
ret se but na banaa ai mere achchhe fankaar
Ahmad nadeem Qasmi
--------------
Dukh
Dukh afsana nahi ke tuj se kahein
Dil bi mana nahi ke tuj se kahein
Aaj tak apni bekali ka sabab
Kudh bi jana nahi tuj se kahein
Aik to harf-e-ashna the magar
Ab zamana nahi ke tuj se kahein
Aye khuda dard-e-dil hay bagsish-e-dost
Ab-o-dana nahi ke tuj se kahein.
--------------
Tum roooth jao muj se esa kabhi na ho
Main ek ek nazar ko tarson esa kabhi na ho
Main pouch pouch haron soo soo sawal kar ke
Tum koi jawab na do esa kabhi na ho
Kuch main bi janooni hun kuch eri mohabat bi
Ye janun tuj ko na bhaye esa kabhi na ho
Mere hi sath hasna mere hi sath rona
Mujh se bechar kar jee lo esa kabhi na ho.
--------------
Dost kya khoob wafaon ka silha dete hain
Har naye mor par zakham naye dete hain
Tum se to kher ghari bhar ki molakkat rehi
Log sadion ki rafakat ko bhola dete hain
Kese mumkin hay ke dua bi na ho or dil bi na jale
Chot parti hay to pather bi sada dete hain
Kon hota hay mosibat main aye dost!
Aag lagti hay to pate bi hawa dete hain
Jin pe hota hay bohot bharosa Tabish
Waqt parne par wohi log daga dete hain.
-------------
Sitary timtamaty hain tu koi yaad ata hay
Nazary geet gaty hain tu koi yaad ata hay
Issy ana nhi wapis magar phir bhi hath apny
Duuwa ko jub bhi uthaty hain tu koi yaad ata hay
Kabhi jugnuu kabhi taree kabhi ghunchy kabhi badal
Hamara dil jalaty hain tu koi yaad ata hay
Bhut koshish say bhi hum iss sitam gar ko nhi bholy
Kahein bhi dil lagaty hain tu koi yaad ata hay
Abhi rasty mein bhikri hay mehak pichli rafaqtoon ki
Kisi say milny jaty hain tu koi yaad ata hay
Hamari shairi per bhi abhi tuk us ski hukmarani hay
Ghazal jub bhi sunaty hain tu koi yaad ata hay
--------------
maaan
Maan
Mari Maan!
Meri janat hay tery pawon taly
Meri sari khushian hein tery liye
Tu chahy tu jaan bhi war doon
Tuon dekhy tu nazar mein sama jawon
Teri ankh k ishara samjh sakoon
Tery dil mein mein utar sakoon
Mery dil ki hy arzoo bhut
Teri khushiuon sy parwan charhoon
Tu jo mujh say kabhi talb kary
Mery lub p kabhi inkar na ho
Hy hasrat mery dil mein kub sy
Tery dil mein ghar mein kar sakoon
Ik khwahish hy bus itni si
Tery naksy kadam per chal sakoon
-------------
Abhi Sy Baat Maat Kar Bhool Jany Ki
Abhi tu ankh ne paie hay sapnoo sy shanasaie
Abhi tu arzoo ne urna sekha hy
Abhi tu pyar ki pheeli phawarein hein
Abhi tu phool mehky hein
Hasein kosu kazah ky rang bikhry hein
Chamakty jugnoo ky kafly bhi sath chalty hein
Hamary char janib
Khwahishoon ki titlian si jhilmilati hein
Abhi tu panchi chaky hein
Hamari zulfein bikhri hein
Muhabat k nashy mein doby rahty hein
Hamari sans seny mein kai tufan uthati hy
Muhabat ka nasha dy dy kar neendein ruth jati hein
Abhi aghaz hy apni muhabat ka
Abhi tu or rangoo ka bikharna hay
Abhi sochoon ko ik parwaz deni hy
Abhi tu khusbown sy lutf ko awaz deni hy
Bhut lamby safar per hum ko jana hy
Bhut sa muskurana hy
Tumhari chahtoon mein khud ko phir behal karna hay
Bhut hi toot kar ulfat lootani hy
Muhabbat k bhut say jam bhar kr peeny hein
Meri jaan!sary sapny mill kar jeeny hein
Abhi say baat maat kar bhool jany ki
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

No comments:
Post a Comment