Monday, 28 April 2014

Very Sad Poetry Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

Very Sad Poetry Biography

Source(google.com.pk)
Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai ‘Mohsin’
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .

Diya Khud Se Bujha Dena

Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Dua Krna Es Bar Koi Bewafa Na Miley,,,

Phir Se Niklen Gay Tlash E  Zindgi Main MOHSIN->>.
Dua Krna Es Bar Koi Bewafa Na Miley,,,

Wafa Kaa Woh Humein Kuch Aise Sila Detey Hain

Wafa Kaa Woh Humein Kuch Aise Sila Detey Hain,

Jaise Ek Jurm Ki Mujrim Ko Saza Dete Hain,

Bach K Raha Karo In Say Yeh Husn Wale Hain,

Hanste Hansaate Hue Zehar Pila Dete Hain,

Jin K Baghair Hum Mar Mar K Jiya Karte Hain,

Woh Jab Milte Hain To Jeene Ki Dua Dete Hain,

Yahi Bohat Hai K Un Ko Khayal Hai Itna,

Zakhm Dete Hain To Marham Bhi Laga Dete Hain,

Mila K Aankh Kar Lete Hain Qaail Woh Apna MOHSIN

Baat Karty Hain To Lafzon Se Hara Dety Hain..

Haqiqat Jan Kar Aise Hamaqat Kon Karta Hy,

Haqiqat Jan Kar Aise Hamaqat Kon Karta Hy,
Bhala Be Faiz Logon Se Mohabat Kon Karta Hy,

Batao Jis Tijarat Men Khasara He Khasara Ho
Bina Sochey Khasarey Ki Tijarat Kon Karta Hy,

Hamen He Ghalt Fehmi Thi Kisi K Wastey Warna,
Zamaney K Rewajon Se Baghawat Kon Karta Hy,

Khuda Ne Sabr Karne Ki Mujhey Taufeeq Bakhshi Hy,
Array G Bhar K Tarpao Shikayt Kon Karta Hy,

Kisi K Dil K Zakhmon Par Marhm Rakhna Zaruri Hy,
Magr Is Dor Me MOHSIN Ye Zehmat Kon Krta Hy?

Uss zakhm k bharny me kuch dair tou lagti hai MOHSIN

Uss zakhm k bharny me kuch dair tou lagti hai MOHSIN!!!

Jis zakham mein shamil ho kuch apno ki inaayat…!!

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun

Ashk Aankhon Mein Chhupatay Howay Thak Jata Hun
Bojh Paani Ka Uthaatay Howay Thak Jaata Hun

Paon Rakhtay Hain Jo Mujh Per Unhain Ehsaas Nahi
Mein Nishaanaat Mitaatay Howay Thak Jaata Hun

Barf Aisi Ke Pighalti Nahi Paani Ban Kar
Pyaas Aisi Ke Bujhaatay Howay Thak Jaata Hun

Achi Lagti Nahi Is Darja Shanasaayi
Haath Haathon Se Milaatay Howay Thak Jaata Hun

Gham Gusaari Bhi Ajab Kaar-e-Mohabbat Hai Ke Mein
Ronay Waalon Ko Hansaatay Howay Thak Jaata Hun

Itni Qabrain Na Banao Mere Andar “Mohsin”
Mein Charaaghon Ko Jalaatay Howay Thak Jaata Hun

Nahin Rahi Wo Muhabat Ki Haqiqat

Nahin Rahi Wo Muhabat Ki Haqiqat Aj Ke Dour Men,MOHSIN…”

‘Nafs Ki Piyas BuJhane Ko Log Ishq Ka Naam Dete Hen”

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena

Ek Diya Dil Mein Jalaana Bhee, Bujhaa Bhee Dena
Yaad Karna Bhee Ose Roz Bhula Bhee Dena

Kia Kahoon Ye Meri Chaahat Hai Ke Nafrat Oski ?
Naam Likhna Bhee Mera, Likh Ke Mitaa Bhee Dena
Phir Na Milnay Ko Bicharta Hun Tujh Se Laikin
Murr Ke Dekhuun Tou Palatnay Ki Duaa Bhee Dena

Khat Bhee Likhna Mayoos Bhee Rehna Os Se
Jurm Karna Bhee Magar Khud Ko Sazaa Bhee Dena

Mujh Ko Rasmon Ka Takalluf Bhee Ganwaara Laikin
Jee Mein Aaye Tou Ye Deewaar Gira Bhee Dena

Os Se Mansoob Bhee Karlaina Puraanay Qissay
Os Ke Baalon Mein Naya Phool Sajaa Bhee Dena

Soorat-e-Naqsh-e-Qadam, Dasht Mein Rehna “Mohsin”
Apnay Honay Se Na Honay Ka Pataa Bhee Dena

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jesa Hai

Har Ek Zakhm Ka Chehra Gulaab Jesa Hai
Magar Yeh Jaagta Manzar Bhi Khawb Jesa Hai

Yeh Talkh Talkhh Sa Lehja, Yeh Tez Tez Si Baat
Mizaaj-E-Yaar Ka Aalam Sharaab Jesa Hai

Bara Taveel, Neyhayet Haseen, Bohat Mubhim
Mera Sawaal Tumhare Jawaab Jesa Hai

Tu Zindagi Ke Haqaayeq Ki Teh Main Yun Na Utar
Ke Iss Nadi Ka Bahaao Chanaa Jesa Hai

Teri Nazar Hi Nahin Harf Ashnaa Warnaa
Har Ek Chehra Yahan Kitaab Jesa Hai

Chamak Uthey To Samandar, Bujhey To Rait Ke Leher
Mere Khayal Ka Daryaa Saraab Jesa Hai

Tere Qareeb Bhi Reh Kar Na Paa Sakoon Tujh Ko
Tere Khayal Ka Jalwaa Hubaab Jesa Hy

W0h Karrwate’n Shab-E-Gham Ki W0h H0uSLey Tere

KiSey Khabar Ky Hamein Ab Bhi Yaad Hain ‘M0hsin’
W0h Karrwate’n Shab-E-Gham Ki W0h H0uSLey Tere

Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

No comments:

Post a Comment