Urdu Love Poetry Biography
Source(google.com.pk)
Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi
hai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koi
nazar nazar mein tajalli dikha raha hai koi
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koi
takhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vada
na aa raha hai koi aur na ja raha hai koi
ye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzar
ki ro raha hai koi muskura raha hai koi
“qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekha
kisi ke hath se daman chuda raha hai koi
Wo hamen jis qadar aazamate rahe
apni hi mushkilon ko badate rahe
wo akele mein bhi jo lagate rahe
ho na ho un ko hum yaad aate rahe
yaad karne par bhi dost aaye na yaad
doston ke karam yaad aate rahe
aankhen sukhi hui nadiyan ban gain
aur tufan badsatur aate rahe
pyar se un ka inkar bar-haq magar
lab ye q der tak thar-tharate rahe
thin to kamanen hathon mein agyar ke
tir magar apanon ke janib se aate rahe
kar liya sab ne hum se kinara magar
ek naseh garib aate jate rahe
maikade se nikal kar janab-e-’khumar’
qaba-o-dair mein khak udate rahe
Ye daur-e-masarrat te tevar tumharen
ubharne se pahale na duben sitaren
bhanvar se lado tund laharon se ulajho
kahan tak chaloge kinare-kinare
ajab cheez hai ye mohabbat ke bazi
jo hare wo jite, jo jite wo hare
siyah naginen banake dasati hain kirannon
kahan koi ye roz-e-rausahn guzri
safine vahan dub kar hi rahe hain
jahan hausale nakhudaon ne hare
kai inqalabat aaye jahan mein
magar aj tak na din na badle hamare
“raza” sail-e-nau ke khabar de rahe hain
ufaq ko ye choote huye tez dhare
Ye chandani bhi jin ko choote hue darati hai
duniya unhin phoolon kopairon se masalati hai
shoharat ke bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai
jis dal pe baithe ho wo toot bhi sakati hai
loban mein chingari jaise koi rakh de
yun yaad teri shab bhar sine mein sulagati hai
aa jata hai khud khench kar dil sine se patari par
jab raat ke sarahad se ik rel guzarati hai
aansu kabhi palkon par ta der nahi rukate
ud jate hain ue panchi jab shakh lachakati hai
khush rang parindon ke laut aane ke din aaye
bichde hue milate hain jab barf pighalati hai
Ye meri gazalen ye meri nazmen tamam teri hikayaten hain
ye tazkiren teri lutf ke hain ye sher teri shikayaten hain
main sab teri nazr kar raha hun ye un zamanon ke s’aten hain
jo zindagi ke naye safar mein tujhe kisi roz yaad aayen
to ek ek harf jee uthega pahan ke anfas ke qabayen
udas tanahaiyon ke lamhon mein nach uthengi ye apasarayen
mujhe teri dard ke alava bhi aur dukh the, ye janata hun
hazar gham the jo zindagi ke talash mein the, ye janata hun
mujhe khabar hai ki teri aanchal mein dard ke ret chanata hun
magar har ek bar tujh ko chu kar ye ret rang-e-hina bani hai
ye zakhm gulzar ban gaye hain ye aahen-sozan ghata bani hai
ye dard mauj-e-saba hua hai ye aag dil ke sada bani hai
aur ab ye sari mata-e-hasti ye phul ye zakhm sab tere hain
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naghmay jo kal mere the wo ab tere hain
jo teri qurbat teri judai mein kat gaye roz-o-shab tere hain
wo tera shayar tera muganni wo jis ke baten ajeeb si thi
wo jis ke andaz khusro-vana the aur adayen garib si thin
wo jis ke jine ke khvahishen bhi khud us ke apne nasib si thin
na puch us ka ki wo divana bahut dinon ka ujad chuka hai
wo kohakan to nahi tha lekin kadi chattanon se lad chuka hai
wo thak chuka hai aur us ka tesha usi ke sine mein gad chuka hai
Ye nikhaton ke narm ravi ye hawa ye raat
yaad aa rahe hain ishq ke tute ta’alluqat
mayusiyon ke god mein dam todata hai ishq
ab bhi koi bana le to bigadi nahi hai baat
ik umr kat gai hai tere intazar mein
aise bhi hain ke kat na saki jin se ek raat
hum ahal-e-intazar ke aahat pe kan the
thandi hawa thi gham tha tera dhal chali thi raat
har sai-o-har amal mein muhabbat ka hath hai
tamir-e-zindagi ke samajh kuch muharakat
ahal-e-raza mein shan-e-bagavat bhi ho zara
itni bhi zindagi na ho paband-e-rasmiyat
uth bandagi se malik-e-taqadir ban ke dekh
kya vasvasa azab ka kya kavish-e-nijat
mujh ko to gham ne fursat-e-gam bhi na di “firaq”
de fursat-e-hayat na jaise gam-e-hayat
eh nigaah-e-husn jhukee jhukee, yeh jabeen-e-naaz dhuaaN dhuaaN
Meray bas ki ab naheeN daastaaN, mera kaaNpta hai ruaaN ruaaN
Ho tilism-e-aalaam-e-raNg o boo, ke hareem-e-anjum o kehkashaaN
Mera saath dey gee mery nazar, woh chhupeiN ge jaa ke kahaaN kahaaN?
Meray dil pe naqsh haiN aaj tak woh ba ehtiyaat nawaazisheiN
Woh Ghuroor o zabt ‘ayaaN ‘ayaaN, woh Khuloos o rabt nehaaN nehaaN
Na safar ba shart-e-ma-aal hai, na talab baqaid-e-sawaal hai
Faqat aik sairy-e-zauq ko, maiN bhaTak raha huN kahaaaN kahaaN
Mery KhilwatoN ki ye jannateiN kayee baar saj ke ujaR chukeeN
Mujhay baarha ye huwa gumaaN, ke tum aa rahey jo kashaaN kashaaN
HaiN hunooz yaad woh qurbateiN, woh neyaaz o naaz woh sohbateiN
Woh tuloo’-e-subha Khunuk Khunuk, woh fizaa-e-shaam jawaaN jawaaN
Yeh taKhayyulaat ki zindagee, yeh tasawwuraat ki bandagee
Faqat ek faraib-e-Kheyaal par mery zindagee hai rawaaN dawaaN
===
Hum nay mana is zamanay maiN hansi bhi jurm hai
Laikin is maahol maiN afsurdagi bhi jurm hai
Dushmani tu khair har surat main hoti hai gunah
Ek muayyan hadd say aagay dosti bhi jurm hai
Hum wafa kar kay rakhtay hain wafaon ki umeed
Dosti main is qadar saudagari bhi jurm hai
Iss say pehlay zindagi main itni pabandi na thi
ab to jaisay khud wajood-e-zindagi bhi jurm hai
Aadmi is zindagi say bach kay jaeey bhi kahaan
Maikashi bhi jurm hai aur khud kushi bhi jurm hai
Aik saaghar kay liyay jo baich dain apna zameer
Aisay rindooN kay liyay tashna labee bhi jurm hai
Apni baynoori ka hum Iqbal maatum kion karain
Aaj kay halaat main deeda waree bhi jurm hai
======
kya tha zara si dair main kya ho gaya koi
do din juda raha tau naya ho gaya koi
wo bhi mujhe aziz tha main bhi usey aziz
phir jane kiya huwa k khafa ho gaya koi
meri nazar nay us ko khad-o khaal dey dye
zehra jamaal-e sheh’r-e saba ho gaya koi
mehfil main tha tau chaand ki soorat sabeeh tha
tanha mila tau rung-e hina ho gaya koi
is khush ada guraiz k qurbaan jaai’yye
mujh ko salaam kar k hawa ho gaya koi
ilzaam hum pe aaya k hum musta’id na thai
jab bhi kisi ka teer khata ho gaya koi
mujh jaise be-nawa ko nawaza ba-sadd khuloos
yoo’n bhi barha tha aur barha ho gaya koi
Naya ek Rishta paida kyun karein Hum.
Bicharna hai to jhagra kyon karain Hum.
Khamoshi se ada ho rasm.E.Duri.
Koi hungama barpa kyon karain Hum.
Ye kafi hai k Hum dushman nahi hain.
Wafa-Dari ka da'awa kyon karain Hum.
Wafa, ikhlaas, qurbani, Mohabbat.
Ab in lafzon ka peecha kyon karain Hum.
Posted by Maheen at 15:28 0 comments
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Sunday, 29 January 2012
Ye Mosam Sard Hawaon Ka Kyun laut k phir se aaya hai
Ye Mosam Sard Hawaon Ka
Kyun laut k phir se aaya hai
Mujhko kar k tanha sa
Be-tabi saath main laya hai
Yakh basta lambi raaton main
Sub un-kahi si baaton main
Meri ankhon main meri sanson main
Ek aks azal se chhaya hai
Ye mosam sard hawaon ka...
Q laut k phir se aya hai
Hr mehfil main tanhai main
Kbhi yaadon ki gehrai main
Hr saye main perchai main
Maine sath he usko paya hai
Ye mosam sard hawaon ka
Q laut k phir se aya hai....!
Posted by Maheen at 11:15 0 comments
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Karo Phir Sy Koi Wada, Kbhi Na Phir Bicharny Ka,
Karo Phir Sy Koi Wada, Kbhi Na Phir Bicharny Ka,
Tumhein Kya Fark Parta Hai, Bicharny Mein, Mukarny Mein.
Posted by Maheen at 11:12 0 comments
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Meri khamoshion ka raaz mujhe khud nahi Pata"
Meri khamoshion ka raaz mujhe khud nahi Pata"
"FARAZ"
Jane kiyon log mujhe maghroor
smjhte hain",
Posted by Maheen at 11:09 0 comments
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Mil Hi Jayga Hum Ko B koi na koi toot k chahne wala...
Mil Hi Jayga Hum Ko B koi na koi toot k chahne wala...
>>Rida<<
"ab Pure Shhar Ka Shehar To Bewafaa Nhi Hota...
Posted by Maheen at 11:06 0 comments
Email This
BlogThis!
Share to Twitter
Share to Facebook
Jab sare-e-sham us nay zulfon ko sanwara hoga
Jab sare-e-sham us nay zulfon ko sanwara hoga
Hath main kangan ankh main
kajal awara hoga
Us k jooray main sja wo sufaid gulaab
Raat ko sotay main kisi nay to utara hoga
Aalam-e-Tanhaey main shab bhar karwatain lekar
Koi to hoga jisay us-nay
pukara hoga
Haey ! wo neend me doobi hue makhmoor ankhain
Jisnay dekha wo dill waheen pe hara hoga
Us k betaab larztay huey
honton pe
"Wasi"
Humain yaqeen hai machalta
huwa wo naam hamara hoga
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images
No comments:
Post a Comment