Urdu Sad Poetry Wallpapers Biography
Source(google.com.pk)Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay
Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia
Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge
Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena……!
Tum aaye ho na shab-e-intazar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitani bhi guzri bakar guzri hai
agarche dil pe kharabi hazar guzri hai
hui hai hazarat-e-naseh se guftagu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jisaka zikr na tha
wo baat unko bahot na-gavar guzri hai
na gul khile hain, na unase mile, na mein pi hai
ajeeb rang mein ab ke bahar guzri hai
chaman mein garat-e-gulachin se jane kya guzri
qafas se aj saba beqarar guzri hai
Teri talash mein hum jab kabhi nikalate hain
ik ajanabi ke tarah raste badalate hain
daraz ho gam-e-hijran ki hasil-e-hijran
wo hausalen hain jo aagosh-e-gam mein palate hain
rava nahi hai gam-e-ishq is qadar bhi garur
tere bagair bhi duniya ke kam chalte hain
kabhi jo had se badhi un ke yaad to samajhe
ki un ke dil mein bhi kuch valvale machalate hain
shab-e-firaq kuch aisi bhi teergi to nahi
kabhi kabhi sar-e-mizgan charag jalate hain
ab un ke gham se bhi maharum ho na jayen kabhi
wo janate hain ki is gham se dil bahalate hain
Tere qarib rahun ya ki dur jaun main
hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chahun main
main janata hun wo rakhta hai chahaten kitni
magar ye baat use kis tarah bataun main
jo chup raha to samajhega badguman mujhe
bura bhala hi sahi kuch to bol aaun main
phir is ke bad ta’alluq mein fasale honge
mujhe sanbhal ke rakhna bichad na jaun main
muhabbaton ke parakh ka yahi to rasta hai
teri talash mein nikalun tujhe na paun main
Tere gham ko jan ke talash thi tere jan-nisar chale gaye
teri reh mein karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye
teri kaj-adai se har ke shab-e-intazar chali gai
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye
na saval-e-vasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten
tere ahad mein dil-e-zar ke sabhi ikhtiyar chale gaye
ye hamin the jin ke libas par sr-e-rah siyahi likhi gai
yahi daag the jo saja ke hum sar-e-bazm-eyar chale gaye
na raha junun-e-rukh-e-vafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye
Raat ke besukun khamoshi mein
ro raha hun ki so nahi sakata
rahaton ke mahal banata hai
dil jo aabad ho nahi sakata
dur shama-e-khayal ke manind
shama vadi ke jhilmilati hai
yas ke beqaran andhere mein
ek umid muskurati hai
dur parabat ke pas charvaha
kho gaya gamfaza taranon mein
bain karati hai ruh-e-zakhmalud
bansuri ke nahif tanon mein
tere jane ka gham bhulata hun
tere aane ke yaad aati hai
haye is bebasi ke aalam mein
kis zamane ke yaad aati hai
shab ko viran rahguzaron se
sar jhukaye hue guzarata hun
qahqahon mein qarar khoya tha
aansuon mein talash karta hun
Sad Poetry in Urdu for Girls for Boys in English SMS Images SMS In Urdu Pic Wallpapers Photos Pics Images

No comments:
Post a Comment